Bachpan

Wo bachpan yaad hai mujhe…

Wo 3 pahiye ki cycle yaad hai mujhe…

Wo maa ka pyar yaad hai mujhe…

Wo pita k kandhe ki sawari yaad hai mujhe…

***

Yaad hai mujhe wo bachpan ki yaadein…

Wo har pal ki khushi jo aankho main samati thi aaj zindagi ki sajish se lagti hai…

Wo pal bhar ka gum jo rone se khatam hojata tha aaj saalo peecha nai chodta hai…

Wo kali slet jiski likhawat ko mitane se pehle nai socha aaj  in kavitao k aksharo main bayan hoti hai…

Wo chile hue ghutno ki chubhan jo maa ki phuk se thik hojate the aaj in dilo ki chubhan pe q nakaam hai…?

***

Yaad hai mujhe wo bachpan ki yaadein…

Wo pehle baar cycle chalana jo evrest chadna sa lagta tha aaj kisi se kuch keh pana bhi mushkil sa lagta hai…

Jb samajh kam thi tb sahi tha jeevan aaj samajh to hai lekin ksahi galat ka anter samajh k pare hai…

Kush tha main tb ya ab gumo ki samajh badh gayi hai…

***

Kya tha wo bachpan…

Kahan beet gaya wo bachpan…

Hosh main tha main tb ya ab hosh main hu…

Itne samjah to agayi hai ki yehe jeevan hai…

Dosh shyad is samajh ka he hai jb nai thi tb bhi nasamajh kehlaye, aur ab agayi to khud ko he na samajh paye…

Bachpan to chala gaya par shyad bachpana abi bhi todha baki hai…

PHOTO3

Leave a comment