Kalki ki Khoj

Sb pujhte hai apko, apki kripa k liye sb kuch nuchawar karne ko tyaar hain,

Pyar, dhan, daulat, jeevan, shakti, sehat, khushi sb kuch apse he mangte hain,

Sbko ek saman samajhne wale hain aap lekin sbko ek sa sukh desakete hain?,

Koi nahi jo apko khush na rakhna chahta ho,

Mehnat sb karte hain apko khush rakhne ki lekin sbki samajh k pare hai apki khushi…

***

Vishwas to pura hai humara aap pe mann main baste hain to sirf ap,

humari shradha to har dard aur khushi main apki murat k samne he dikhti hai,

Kya hogaya hai apki is duniya ko, dhan k lobh main dubi hui hai har ek rooh,

***

Mandiro main apk naamse jo lut macha rakhi hai, kaunse shastro aur vedo main iska varnan hai,

Kis ved main likha hai jo dega jyada daan sirf use ka karenge ap utthan,

Kya bhagwan paiso k bhuke hain ya humari he tarah pyar k,

Ya apne bhakto k us vishwas aur sneh k…

***

Kya hoga un garibo ka jo lakkho-karodo ka daan nai desakte,

kya hoga un marizo ka jo 4 dhaam nai kar sakte,

Sb apki he santaan hain, ap he rachayta aur ap he vinashak hain fir q ye lalach hai chal aur kapat ki is duniya main,

 ek maya jaal sa buna jaraha hai aapki rachi is duniya main…

***

Yahan mandiro ka batwara bhramano main horaha hai,

Suna tha bharamno ko sirf bhakti main vishwash hai,

Yahan to dharamsthalo ko dhanda bana diya hai aur bhagwan ko sajak baitha diya  gaya hai,

***

Ab to garibo pe se bhi vishwas uth gaya hai jo daank dhan se nashe main dube hain,

kya yehe jawab hai kisi ki karuna ka aur dharam,

Dhan ka nasha ya lobh ka nasha, irsha aur bhed ki bhawna ka prachar yahin aak dikhta hai,

Jo insaan apne banaya tha woto shyad kahin kho gaya hai,

Ya shyad apne jo banaya use main kuch kami reh gayi hai…

***

Jise puja jana chiye use becha jaraha hai…

jisme shradha honi chiye usme lalach hai…

jisme aatmsamarpan ki bhavna honi chiye usme irsha hai…

jisme jeevan khojna tha usme paisa khoja jaraha hai…

Bhram main hain sb ya haquikat hai ye…

Bhagwan paisa hogaya hai ya Paisa he bhagwan…

Leave a comment