Baarish

320280_410665735660650_1531570204_n  tumblr_m3cnedWKZN1r5nneqo1_500

Aaj bhi jab barish Ki boonde is mathe se takrati hain to us bheegi mitti Ki khushboo yaad aati hai,

Wo mausam Ki pehli baarish maa Ki us fatkaar Ki yaad dilati hai,

Kabhi bachpan ki Wo geeli lakdi to kabhi kagaz Ki kashti nazar aati hai,

Wo pakodo Ki mehak aaj bhi maa Ki yaad dilati hai…

***

Ek samay Tha jab barish Ki boondo main cricket khela jata Tha,

Dusre padhav main gaadiyo pe ghooma jata Tha,

Waqt guzarta raha sawan aata raha aab is barish main chai Ki chuski se kaam chalaya jata hai,

Sukoon bhari is chal Ki chuski main guzre palo ko yaad kiya jata hai…

***

Wo raaste Ke kichad pe koodna ka samay tution main betaya jata hai,

Wo bunk maark long ride pe Jana aab mushkil Sa lagta hai,

Aab to purane Hindi gaane sunte hue chai Ki chuski main he maza aata hai,

Har chai Ki is chuski main dikhti bus un dosto aur us ek pyar Ki yaado chaya hai,

Aabhi bhi agar sath ho un yaaro ka aur pyar ka to ye barish is khidki se nahi sadko pe dekhi jayge,

Ye chai Ki chuski bean bag pe nahi kahin bheeg k kone main ek thadi par pee jayegi,

Aaj bhi is barish main sadak k kone main humari kashti first aayge,

Aaj bhi in gaadiyo pe wohe pagalpanti nazar aayege,

Haan is baarish main sabko apne Ander chupe us bachpan Ki parchai nazar aayge…

images

 some_people_feel_the_rain

Leave a comment