Ek nayi soch !!!

BE-RECEPTIVE

Janam k sath he ek rashi jodh de jati hai humare naam,

Dimag khali hota hi lekin mann shyad sawalo se bhara hota hai,

Waqt guzaarte ek soch ko mann main bithaya jata hai,

Nasamajh hote hain hum bado k tajurbe ko patthar ki lakeer mana jata hai…

***

Galat nahi hai tajurba, nadaan nahi hain hum,

Zamane ki samajh main, har us mann ki slate main, ek soch karti hai kahin kisi ki ashkon ko  num,

Is soch ko banaya kisne, ise sabk mann main basaya kisne, is ek he khyaal main q hain hum sab gum,

Samay ki raftaar ne ya shyad kisi tajurbakar ki fatkar ne kahin na kahin kiya hai ek nayi soch ko gumsum…

 ***

Ise dakiyanusi soch ko badalna hai,

Ekduje ki aankho main vishwaas ko lana hai,

Ek nahi har ek slate pe likhi un dakiyanusi panktiyo ko mitana hai,

Haan aab ek nahi soch ko, ek nayi shuruwat se aage badhana hai,

Ek naye tajurbe ko ek nayi pechan se milana hai,

Hosaka to ek choti se soch se is yatharth ko samajh pana hai…

***

Change_by_jeffrey1

Leave a comment