Ek Udaan…

Ek udaan udni baaki hai,

Ek chalang lagani baki hai,

Roz ki bhag daud se alag ek daud lagani baki hai,

Is bheed se nikal kar ek zindagi jeeni baki hai…

***

Kab tak in pankh ko bandh kar rakhoge,

Kabhi to inhe failana he hai,

Aaj nahi to kal mujhe ud jana he hai,

In pinjaro main kuch din rok sake to khush na hona,

Ek din in salakho ko todhkar ud jana he hai…

***

Samaj ki bandshio ko ek din chodh jana hai,

Kisi aur ki nahi ek baar khud ki mahatvkanshao ko pura karna hai,

Duniya ki umeedo pe nahi par khudki aankho main samman pana hai,

Us khule aakash main apne sapno ki muskaan ko gale lagana hai…

***

In baaho ko failakar ek din apne ateet ko muskurakar awaz lagana hai…

Khuli aankho se dekhe har sapne ko sakar banana hai,

Samaj k faislo ki nahi apne soch ki udaan lagani hai,

Azaad vicharo ki udaan lagani hai,

***

Is udaan main gir bhi gaya to chot (injury) ka ehsaas na hoga,

Us behte hue lahu ka ek ek katra ek nayi udaan hoga,

Is udaan main maut bhi agar aayi to gumgeen na hona,

Kandho pe uthai arthi ko bhi meri mahatvkanshao ki bus ek udaan samajh lena…

follow-your-dreams-large-msg-134660694079  logo

Leave a comment