Muskurahat

Dur compartment main khadi wo ladki,

Kuch shant se khadi wo ladki,

Khulle baal aur wo kuch bolti hui aankhe,

Wo mobile main vyast hath aur wo jhuki hui se palkhe…

***

Wo gumsum sehmi se ladki,

Wo kuch sochti hui se ladki,

Yun aankho ka milna aur fir pare chale jana,

Yun phoonkr baalo se khelna,

Aur fir yun muskurana…

***

Wo sharam wo laj-lajja se bhari aankhe,

Wo chupti chupati logo ki nazro se bachti aankhe,

Wo station aane pe mayusi se bhari aankhe,

Fir ek baar nigaho k milne pe muskurati se wo aankhe…

***

Koi anjana sa rishta bana diya in chand palo k raaste ne,

Fir se jeena sikha diya us muskurahat ne,

Kuch kashish se thi un muskurahato main,

Todhe unsuljhi se thi wo muskurahetein,

Fir se milne ki bechaine se degayi wo aakhri muskurahatein…

Leave a comment