Aajkal khud se he kuch aise baatein kiya karta hu main

Yaado k sahare jeena tha to sath nibhaya he Kyon,

Patthar dil ko banana he tha to pyar dikhaya he Kyon,

Hath chodhkar jana he tha to pass bulaya he Kyon,

Jab rulana he tha to behte ashko ko curaya he Kyon,

Aaj kal khud se he kuch aise baatein kiya karta hu…najane Kyon

***

Sochta hu ki galti thi meri ya kismet ne koi khel khela hai,

Sacchai thi usme kuch ya sirf raas leela hai,

Meri ehsaaso ki koi tawajjo bhi thi ya mera dil sirf ek mela sa tha?

Sapna tha wo ya wakai aisa pyar namumkin na tha?

Aajkal khud se kuch aise he sawal kiya karta hu main…

***

Kuch aise he sawalo main kho sa gaya hu main,

Inhe sawalo main todha ulajh sa gaya hu main,

In sawalo k jawabo main bhatak sa gaya hu main,

Is gufa ki antim roshni ki talash main behak sa gaya hu main,

***

Aaj kal khud se kuch aise he baatein kiya karta hu main,

Aajkal khud se kuch anjane se sawal kiya karta hu main,

Aajkal zindagi se kuch aise he jawab mang leta hu hu main,

Aajkal khud se he kuch rutha hua sa hu main…

One thought on “Aajkal khud se he kuch aise baatein kiya karta hu main

Leave a comment