Barish Ki Bundein

Baarishi bhi aab tham gayi hai,

Ye fizayein bhi aab ruk gayi hain,

Ye raat bhi aab khatam se hogayi hai,

Wo yaadein lekin abhi bhi zehan main baki he hain…

***

Is baarish ke thamne ka bhi ek alag sa suroor hai,

Bahar niklo to us thandak ka ehsaas abhi bhi hai,

Un phoolo main oss se ban gayi bundo ki aahat abhi bhi ahi,

Zara sa kisi ped ko tatolo to barish ka abhaas abhi bhi hai…

***

Ye barish ke baad ka sanaata bhi ek shor sa hai,

Kehna to bahut kuch chahta hai lekin hamesha ki tarah shaant sa hai,

Ek lamha is sannate main bita kar dekho to sahi,

Kayi kisse kahaniyaan samete hua ye sannata aaj bhi shaant sa hai…

***

Un hazaro meel dur baadalo se abhi bhi kuch bunde gir rahi hain,

baarish ki aab bhi zinda hone ki chetavani de rahi hain,

zehan main aaj bhi agar todha sabra ho to gaur se suno us sanaate ki aawaz,

jise maan chuke ho samay thamne ka sandesh,

wo aab bhi tip tip karke samay ke chalne ka ehsaas dila rahi hai tumhe…

***

samay ko kaid karna namumkin tha ye janta tha main,

mohabaat ne sacchai se pare kardiya kaise bayan karu main,

us ek barish ne kaid kar liya mujhe tere ishq main,

kudrat se aab ye jung  karu to kaise,

barish ke sannate ne bayan kar diya hai aab mera haal,

aab is kudrat ko ruswa karu to kaise…

c6-6

Leave a comment