Phir Milange Jab Kisi Modh Par

Din kuch aur honge, Raatein kuch aur hongi,

Baatein batani khoob hongi lekin palhke jhuki se hongi,

Gale lagna bhi hoga aur dur rehna bhi majburi hogi

Phir milange jab kisi modh par, kuch yaadein purani hongi aur kuch aansu chupane honge…

***

Aankho main lihaaj hoga, mann main Jhijak hogi,

Dhadkane tez hongi, pair thande honge,

Channd lamho main pal saare yaad ajayange, mushkil unhe firse bhulane main hogi,

Phir milange jab kisi modh par, in aankho se baatein hongi aur kuch shikayatein hongi…

***

Achanak hui is mulakat ka intezaar tumhe bhi hoga aur khawaish meri bhi hogi,

Saath kisi aur ka hoga, dhadkane kisi aur ki hongi,

Dil ki kisi kone main dabi hui chingari aaj bhi shyad kabhi hume pukaarti hogi,

Phir milange jab kisi modh par, meri bus ek sifarish hogi lag jana gale qki naajne fir kab ye mulakaat hogi…

***

Zingagi beet chuki hogi, aashayein abhi baki hogi,

In baaho main tab bhi tumhari he kami baki hogi,

Sapne simat gaye honge lekin ek mulakat tab bhi baki hogi,

Phir milange jab kisi modh par, saanse tumhari hongi samay humara hoga…

***

Phir milange jab kisi modh par, Aankhe tumhari hongi nasha humara hoga…

Baahein tumhari hogi aur jaan humari hogi…

firse wohe barish hogi firse wohe kahani hogi…

Phir milange jab kisi modh par, phir sath dange ek-duje ka har ek modh par…..

Phir milange jab kisi modh par…

.Romance In Rain

Leave a comment