Banjara Badal

Banjaaro sa chala jaraha hu main,

Suukhi dharti ki pyas bujhata chala jata hu main,

Kisi prashansha ka moh nahi hai mujhe chahta hu to bus abhigyan,

Chaand aur Suraj ko pyar karnewalo ki nazar main andekha sa hu main,

Batau to kise aur kaise is banjare baadal ki vyatha…

***

Kisi ko Suraj se pyar hai to kisi ko Chaand ka lobh,

Sardiyo main Suraj ka intezaar to Chaandni ki Sheetalta ka moh,

Suraj k krodh se bachata baadal to kabhi Chaand ki Sobha badhata sa baadal najane q hai andekha sa,

Shant sa chup chaap sa sabki khari koti suntan, jhund main akela sa bus chala jaraha baadal,

Batau to kaise aur kise is banjare baadal ki vyatha…

***

Aasman k khali kagaz par chitr banata, jaane kiski chaahat jeetne chala,

Ek sacche pyar ki khoj main naadan puri duniya ghum chukka,

Kisi kisan ki chahat ko bevkoof saccha samajh baitha,

Rote hue bhi apni chahat ki fasal banata chala,

Apne niswarth pyar main aansuo ki nadiya bahata chala,

Batau to kaise aur kise is banjare baadal ki vyatha…

***

Pyar k dard ko lekar, banjara fir kisi ko pyar dene chala,

Dard ko sehne ki kashmakash main khud se he lad pada,

Apne Krodh ki bijli main firse bus ro pada,

Rote hue bhi dharti pe baithe us premi jode ko ek haseen shaam degaya,

Batau to kaise aur kise is banjare baadal ki vyatha,

Masoomiyat to dekho is banjare ki agle saal fir us bavafa ki or badh chala,

Batau to kaise aur kise is masoom banjare baadal ki vyatha….

2e62821b4ceaac6f325e14dcc8f9bb12

2 thoughts on “Banjara Badal

Leave a comment