Fizaayein

Aaj hawayein kuch tez se hain,

Dhadkane bhi badhi badhi se hain,

Is raat k sannate main ek awaz suni suni se hai,

Dur baithe ho kahin tum lekin tumhari aahat aaj bhi mere kareeb se hain…

***

Ye baadalo ka jhund bhi aaj mera haal puchne aaye hain,

Pyar to dekho in nasamjho ka aaj bhi mere ashko ko chupane mere dar pe aye hain,

Chand ghanto main sematti is raat main yaadein hazaro hain,

Par jiska intezaar hai wo aaj bhi is aashiq k mohabbat se anjaan hain…

***

In suni raato ko katna pehle he mushkil tha upar se ye fizaayein hain,

Un yaado k sahare jeena to seekh liya tha lekin najane is naadan dil ki dhadkane kyu bechain hain,

In ashko ka jeena to wajib tha par ye nigahein toh bekasoor hain,

Kasoor sirf itna hai ki aaj bhi nasha inhe sirf tumhara hai…

***

In dhadkano ki bechaine main saza nigaho ko milti hai aab tum he batao in nazro ki kya galti hai,

Jo Subah ki pehle kirno k sath tumhe he khojti hain,

Duniya ki bheed main tumahari ek jhalak talaashti hain,

Raat hote na mile agar sukun, to bus tumhari yaad main do ashko k sahare nind ki aagosh main sojati hain…

hair_blowing_in_the_wind_by_howard0-d674z11

Leave a comment