Bus do aur Kadam…

Raah chalte mile the hum,

Raahgeer bane sath chale the hum,

Hath pakad kuch kadam sath chale hum,

Ek modh par badalte dikhe ye kadam…

***

Raahe badli bichad gaye ye kadam,

Phir Kisi modh par dur khade the hum,

Tumhare intezaar main ruk se gaye the ye kadam,

Phir peechese Kisi ne hath pakda aur bola bus do aur kadam…

***

Bus do aur kadam,

Sawal Tha ye ya Tha ye ek ehsaas qki kuch dhundhle se dikh rahe the tum,

Manzile alag thi aur badh rahe the kadam,

Zehan main khayal tha lekin vishwash sath badhange ye kadam,

Manzile kareeb aayi tab samajh aya ye safar reh gaya hai bus do aur kadam…

***

Manzilo ka suroor nahi tha mujhe chalna chahata tha bus do aur kadam…

Is safar main har waqt jeena chatata tha bus do aur kadam…

Har dusre kadam par socha bus do aur kadam…

Sath raha to maut se ladh lunga aur kahunga bus do aur kadam…

Jyada kuch nahi bus maang raha hu do aur kadam…

sirf do aur kadam……….

dnews-files-2013-04-footsteps-660-jpg

Leave a comment