Bus Ek Wada

Ek safer tay karne ka humne socha Tha…

Manzilo Ki khabar nahi Thi lekin ek raasta humne dekha Tha…

Ek safar Jo zindagi se lamba lagta Tha, aaj zindagi jaisa lagta hai…

Jo shuruwat main anant Sa dikhta Tha, aaj ek annt Sa dikhta hai…

***

Pal pal Jo bhaari Sa lagta Tha aaj har wo beeta pal bhari padta hai…

Nanhe se badhte kadmo k sath Jo shuru kiya Tha aaj dil Ki Kisi kone main ek dard Sa basta hai…

Jo ashk apne gale main liye hum has rahe hain unhe azaad karne ko dil Karta hai…

Ek khushi k sath aaj is sacchai ko jhuthlane ka Mann Karta hai…

***

5 saal k is Safar main najane kitne padhav dekhe hain…

Is chehre k piche hazaro ehsaas chupaye baithe hain…

Shyad kisi ki aankho se kuch ashk bahar aaye hain…

Un beete hue lamho main aaj ka sapna dekha tha, par aab lagta hai ye sapne q sach hote hain…

***

Chalo aaj ek wada harek se karte hain…

Bhul k saare gile shikwe ek nayi shuruwat karte hain…

Is safar k annt main ek naya safar sath shuru karte hain…

Chalo aaj ek waada aur karte hain…

Beete hue lamho ko aaj ek bar fir yaad karte hain… Jo beet gaya hai kal use aaj firse jeete hain…

Hui hain jo galtiyaan unhe thik karte hain

Un beete hue pal ki yaado ko aaj in aankho se vida karte hain

Ek hasi se vida karte hain

Bichadh kar bhi sath rehne k ek chote se wade se karte hain…..

One thought on “Bus Ek Wada

Leave a comment